|
|
SINGER: Lakshya
SONG:Kandhon Se Milte Hain
( kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain ham chalte hain jab aise to, dil dushman ke hilte hain )...(2) ( ab to hamein aage badhte hai rahna ab to hamein saathi hai bas itna hi kahna )...(2) ab jo bhi ho, shola banke patthar hai pighlana ab jo bhi ho, baadal banke parbat par hai chhaana ( kandhon se milte hain....dushman ke hilte hain ) -2 Nikle hain maidaan mein, ham jaan hatheli par lekar ab dekho dam leinge, ham jaake apni manzil par Khatron se hans ke khelna, itni to ham mein himmat hai modhein kalayee maut ki, itni to ham mein taaqat hai ham sarhadon ke vaaste, lohe ki ik deewaar hain ham dushmanon ke vaaste, hoshiyaar hain taiyar hain ab jo bhi ho..par hai chhaana kandhon se milte hain...dushman ke hilte hain Josh dil mein jagate chalo, jeet ke geet gaate chalo...(2) jeet ki jo tasveer banane ham nikle hain apne lahoo se hamko usmein rang bharna hai saathi maine apne dil mein ab ye thaan liya ha i ya to ab karna hai, ya to ab marna hai chahe angare barse, ke bijli gire tu akela nahin hoga yaara mere koi mushkil ho ya ho koi morcha saath har mod par, honge saathi tere ab jo bhi ho...par hai chhaana kandhon se milte hain...dushman ke hilte hain Ek chehra aksar mujhe yaad aataa hai is dil ko chupke chupke vo tadpata hai jab ghar se koi bhi kat aaya hai kaagaz ko maine bheega bheega paaya hai palkon pe yaadon ke kuchh deep jaise jalte hain kuchh sapne aise hain, jo saath saath chalte hain koi sapna na toote, koi vaada na toote tum chaho jise dil se, vo tumse na roothe ab jo bhi ho, shola banke patthar hai pighlana ab jo bhi ho, baadal banke parbat par hai chhaana kandhon se milte hain ...dushman ke hilte hain Chalta hai jo ye kaarvan, goonji si hain ye vaadiyan hai ye zameen, goonji goonji ye aasman, goonja goonja hai ye hawa, goonji goonji hai ye samaa, goonja goonja har raste ne, har wadi ne, har parbat ne sadaa di ham jeeteinge, ham jeeteinge, ham jeeteinge har baazi ( kandhon se milte hain...dushman ke hilte hain )...(5)
| |
|